Iss Bewafa Jaha Me

Singer: C H Atma
Writer: Prem Dhawan
Composer: O P Nayyar
Movie/Album: Aasman

Iss bewafa jaha me wafa dhundhate rahe

Nadan the kitne ham bhi, yeh kya dhundhate rahe

Har rasta agarache tera rasta na tha
Har raste me tera pata dhundhate rahe

Ik dil ka dard tha ki, raha jindagi ke sath
Ik dil ka chain tha, ki sada dhundhate rahe