Ye Kaun Chala

Singer: Uma Devi
Writer: Shakeel Badayuni
Composer: Naushad
Movie/Album: Dard (1947)

Ye kaun chalaa, ye kaun chala 

Ye kaun chala haaye ye kaun chala
Meri aankhon mein sama kar
Meri rag-rag mein sama kar
Ye kaun chala

Dil toot raha hai mera ji chhoot raha hai
Aise na jaaye koi majaboor bana kar
Meri aankhon mein sama kar
Meri rag-rag mein sama kar
Ye kaun chala
Ye kaun chala haaye ye kaun chala

Jaag ai gam-e-furaqat luti jaati hai musarat
Soi hui maasoom tamanna ko jaga kar
Meri aankhon mein sama kar
Meri rag-rag mein sama kar
Ye kaun chala
Ye kaun chala haaye ye kaun chala

Jaane ye havaayen yahaan kab laut ke aayen
Yahaan kab laut ke aayen
Chaal den meri kashati ko toofaan mein phansa kar
Meri aankhon mein sama kar
Meri rag-rag mein sama kar
Ye kaun chala
Ye kaun chala haaye ye kaun chala