Milati Hai Zindagi Mein Mohabbat

Singer: Lata Mangeshkar
Writer: Sahir Ludhianvi
Composer: Ravi
Movie/Album: Aankhen (1968)

 Milati hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi

Hoti hai dilbaro ki inayat kabhi kabhi

Sharma ke muh na pher nazar ke sawal par
Lati hai aise mod par kismat kabhi kabhi

Khulate nahi hain roj dariche bahar ke
Aati hai janeman ye kayamat kabhi kabhi

Tanha na kat sakenge jawani ke raste
Pesh aayegi kisiki zarurat kabhi kabhi

Phir kho na jaye ham kahi duniya ki bhid mein
Milati hai pas aane ki muhalat kabhi kabhi

Hoti hai dilbaro ki inayat kabhi kabhi
Milati hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi