Saiya Bina Ghar Suna Suna

Singer: Lata Mangeshkar, Bhupinder Singh
Writer: Shaily Shailender
Composer: Bappi Lahiri
Movie/Album: Aangan Ki Kali

 Saiya bina ghar suna, suna, saiya bina ghar suna

Rahi bina jaise suni galiya, bin khushabu jaise suni kaliya
Sainyan bina ghar suna

Suna din kali ratiya, asuvan se bhigi patiya
Har aahat pe dari dari, rah take meri ankhiyan
Chand bina jaise suni ratiya, phul bina jaise suni bagiya
Saina bina ghar suna

Andhiyare badal chhaye, kuchh bhi na man ko bhaye
Dekh akeli ghere mujhe yadon ke saye saye
Chand bina jaise suni ratiya, phul bina jaise suni bagiya
Saiya bina ghar suna

Aansu yu na bahao, ye moti na lutao
Rukati nahi hain waqt ki dhara, pala pala badale jaga ye sara
Chand bina jaise suni ratiya, phul bina jaise suni bagiya
Saiya bina ghar suna