Apna Desh Videsh Ke Aage Hath Naa Phailaye

Singer: Mukesh
Writer: Indeevar
Composer: Kalyanji-Anandji
Movie/Album: Anokha

 Apna desh videsh ke aage hath naa phailaye

Aaj jahan hai ret kal wahan khet muskaraye
Aisa kee ganv ganv me ganga leharaye
Apna desh videsh...........

Mehnat ka hi nam hai woh jisko kismat kehte hain
Do hatho kaa khel hai woh jisko daulat kehte hain
Ham jahan pasina bahayenge moti wahan ugayenge
Nadiya bandh nahar nikale kushahali chhaye
Apna desh videsh...........

Desh ki har chiz hai apani kyo apne hatho se tode
Isko bachhana farz hai apna kyo sarkar par chhode
Apna bharat sara hame prant prant hai pyara
Aapas ke hi in dango me desh naa jal jayey
Apna desh videsh...........