Saawan Ka Mahina Aaya Hai

Singer: Anuradha Paudwal, Udit Narayan
Writer: Sameer
Composer: Anand Shrivastav, Milind Shrivastav
Movie/Album: Aayi Milan Ki Raat

Saawan ka mahina aaya hai, ghata se barsa hai pani

We mahiya bujha de pyas jiya ki ho

Aise me tune jo chhua meri bhi mehki jawani
We mahiya bujha de pyas jiya ki ho

Tere husn shabab ki bat huyi ya madira ki barsat huyi
Mausam bhi sharabi lagta hai, mujhe bhi chadhiya nasha hai
We mahiya bujha de pyas jiya ki ho

Koi jor na dil pe chalta hai, barish me badan mera jalta hai
Bundo me chhupi hai chingari, hawa bhi suiyan chubhaye
We mahiya bujha de pyas jiya ki ho

Ham milte rahe janam janam, na honge juda ham milke sanam
Aa ek duje me kho jaye rahe na koyi bhi duri
We mahiya bujha de pyas jiya ki ho