Kya Karu Dil Kahi

Singer: Lata Mangeshkar, Usha Mangeshkar
Writer: Prem Dhawan
Composer: Kalyanji-Anandji
Movie/Album: Delhi Junction

 Kya karu dil kahi pe kho gaya

Jane do hona tha jo ho gaya
Kya karu dil kahi pe kho gaya

Itna roka itna toka
Par sambhala na gaya
Kya karu dil kahi pe kho gaya
Jane do hona tha jo ho gaya

Kya khata thi ye najar ki
Ya dilo ka josh tha
Aankh milte ho gaya kya
Kisko itna hosh tha
Dekhti hi rah gai mai - 2
Jane kya ho gaya
Kya karu dil kahi pe kho gaya
Jane do hona tha jo ho gaya

Pyarse na bach sakoge
Phir ye darna kisliye
Sochte the dil lagana
Aahe bharna kisliye
Phir bhi dhokha khahi baithe - 2
Pyar ho hi gaya
Kya karu dil kahi pe kho gaya
Jane do hona tha jo ho gaya
Itna roka itna toka
Par sambhala na gaya
Kya karu dil kahi pe kho gaya
Jane do hona tha jo ho gaya