Yeh Shaam Ki Tanhayiyaan

Singer: Lata Mangeshkar
Writer: Shailendra
Composer: Shankar-Jaikishan
Movie/Album: Aah

Yeh shaam ki tanhayiyaan, aise mein tera gham - 2

Patte kahi khadke hawa aayi toh chaunke hum - 2
Yeh shaam ki tanhayiyaan, aise mein tera gham

Jis raah se tum aane ko the - 2
Usake nishaan bhi mitane lage - 2
Aaye na tum sau sau dafa aaye gaye mausam - 2
Yeh shaam ki tanhayiyaan, aise mein tera gham

Sine se laga teri yaad ko - 2
Roti rahi main raat ko - 2
Haalat pe meri chaand taare ro gaye shabnam - 2
Yeh shaam ki tanhayiyaan, aise mein tera gham - 2